meri baaten sun ke par sab panchhiyon ke jhaD gae

meri baaten sun ke par sab panchhiyon ke jhaD gae
Shahabullah Shahab
MORE BYShahabullah Shahab
merī bāteñ sun ke par sab panchhiyoñ ke jhaḌ ga.e
ġham kī arzānī se patte Tahniyoñ ke saḌ ga.e
us kī manzil itnī mushkil thī batā.ūñ kyā tujhe
yaad aa.ī jab kabhī paañv pe chhāle paḌ ga.e
maiñ zarā sā hī rukā thā ik shajar ke saa.e meñ
dard ko mahsūs karke barg saare jhaḌ ga.e
'ilm jin ke paas thā so vo sarāpā 'ijz the
duur the mantiq se jo vo apnī zid par aḌ ga.e
zahr meñ kuchh is qadar Duube hue alfāz the
aa.ina dekhā to mere hoñT niile paḌ ga.e
apnī hī tahzīb ko ham dafn hotā dekh kar
sharm ke maare jahāñ the ham vahīñ par gaḌ ga.e
vo gale lag kar milā to maiñ ne ye dekhā 'shahāb'
ḳhālī āñkhoñ meñ mohabbat ke nagīne jaḌ ga.e
meri baaten sun ke par sab panchhiyon ke jhaD gae
gham ki arzani se patte Tahniyon ke saD gae
us ki manzil itni mushkil thi bataun kya tujhe
yaad aai jab kabhi panw pe chhaale paD gae
main zara sa hi ruka tha ek shajar ke sae mein
dard ko mahsus karke barg sare jhaD gae
'ilm jin ke pas tha so wo sarapa 'ijz the
dur the mantiq se jo wo apni zid par aD gae
zahr mein kuchh is qadar Dube hue alfaz the
aaina dekha to mere honT nile paD gae
apni hi tahzib ko hum dafn hota dekh kar
sharm ke mare jahan the hum wahin par gaD gae
wo gale lag kar mila to main ne ye dekha 'shahab'
KHali aankhon mein mohabbat ke nagine jaD gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.