meri barbaad mohabbat ki kahani likhna
merī barbād mohabbat ki kahānī likhnā
mere hisse meñ faqat aañkh kā paanī likhnā
bevafā kahnā use itnā bhī āsān nahīñ
yaar bas mujh ko hī tum dushman-e-jānī likhnā
'umr bhar maiñ ne mohabbat ke sivā kuchh na kiyā
mere hissa meñ bhī ik pariyoñ kī raanī likhnā
mere aañsū bhī to sachche nahīñ lagte tum ko
tum kahānī mirī barbād javānī likhnā
ab to badnāmī kā Dar mujh ko nahīñ hai 'shākir'
tum mohabbat kī vahī riit purānī likhnā
meri barbaad mohabbat ki kahani likhna
mere hisse mein faqat aankh ka pani likhna
bewafa kahna use itna bhi aasan nahin
yar bas mujh ko hi tum dushman-e-jaani likhna
'umr bhar main ne mohabbat ke siwa kuchh na kiya
mere hissa mein bhi ek pariyon ki rani likhna
mere aansu bhi to sachche nahin lagte tum ko
tum kahani meri barbaad jawani likhna
ab to badnami ka Dar mujh ko nahin hai 'shakir'
tum mohabbat ki wahi rit purani likhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.