Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri bayaz-e-sher pe wo nam likh gaya

Ahmad Raees

meri bayaz-e-sher pe wo nam likh gaya

Ahmad Raees

MORE BYAhmad Raees

    merī bayāz-e-sher pe vo naam likh gayā

    ik ḳhvāb aur ek hasīñ shaam likh gayā

    dil us ko DhūñDhtā hai usī talāsh hai

    chupke se ik duā jo mire naam likh gayā

    phir us se kab ho merī mulāqāt dekhiye

    āġhāz meñ jo mirā anjām likh gayā

    jaltī zamīñ pe maiñ khaḌā thā koī na thā

    jhoñkā havā aayā to sau naam likh gayā

    ḳhushbū thā vo ki ek na.ī rut nayā samāñ

    chupke se mere naam jo ye shaam likh gayā

    vo mujh se chhīn kar mirī bīnā.iyāñ tamām

    patthar kaisā shahr mire naam likh gayā

    ḳhud apnī aag meñ jalā huuñ magar 'ra.īs'

    sab ke liye mahaktī huī shaam likh gayā

    meri bayaz-e-sher pe wo nam likh gaya

    ek KHwab aur ek hasin sham likh gaya

    dil us ko DhunDhta hai usi ki talash hai

    chupke se ek dua jo mere nam likh gaya

    phir us se kab ho meri mulaqat dekhiye

    aaghaz hi mein jo mera anjam likh gaya

    jalti zamin pe main hi khaDa tha koi na tha

    jhonka hawa ka aaya to sau nam likh gaya

    KHushbu tha wo ki ek nai rut naya saman

    chupke se mere nam jo ye sham likh gaya

    wo mujh se chhin kar meri binaiyan tamam

    patthar ka kaisa shahr mere nam likh gaya

    KHud apni aag hi mein jala hun magar 'rais'

    sab ke liye mahakti hui sham likh gaya

    Source:

    Muntakhab Ghazlein-1982 (Pg. 18)

      • Publisher: Zahid Malik
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now