Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri ghazlon ka har qafiya mustarad

Naheed Azmi

meri ghazlon ka har qafiya mustarad

Naheed Azmi

MORE BYNaheed Azmi

    merī ġhazloñ har qāfiya mustarad

    aap hoñ sāmne aa.ina mustarad

    jaan bach jaa.e to hādisa mustarad

    sar paTaḳhtī havā nasha mustarad

    shā.erī-vā.erī dekhtā kaun hai

    husn jab tak na ho shā.era mustarad

    mire saath ho aur duniyā bhī ho

    is musallas ik zāviya mustarad

    zindagī laakh qadmoñ meñ paḌtī rahī

    kar diyā us har faisla mustarad

    tujh pe merā yaqīñ is qadar be-aTal

    zehn-o-dil har ik vasvasa mustarad

    ham tire ġham talḳhī se haiñ āshnā

    ab nayā koī bhī zā.iqa mustarad

    rabb-e-akbar har faisla dil-kushā

    nujūmī tirā zā.icha mustarad

    meri ghazlon ka har qafiya mustarad

    aap hon samne aaina mustarad

    jaan bach jae to hadisa mustarad

    sar paTaKHti hawa ka nasha mustarad

    shaeri-waeri dekhta kaun hai

    husn jab tak na ho shaera mustarad

    tu mere sath ho aur duniya bhi ho

    is musallas ka ek zawiya mustarad

    zindagi lakh qadmon mein paDti rahi

    kar diya us ka har faisla mustarad

    tujh pe mera yaqin is qadar be-aTal

    zehn-o-dil ka har ek waswasa mustarad

    hum tere gham ki talKHi se hain aashna

    ab naya koi bhi zaiqa mustarad

    rabb-e-akbar ka har faisla dil-kusha

    ja nujumi tera zaicha mustarad

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now