Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri go aah se jangal na jale KHushk to ho

Baqaullah 'Baqa'

meri go aah se jangal na jale KHushk to ho

Baqaullah 'Baqa'

MORE BYBaqaullah 'Baqa'

    merī go aah se jañgal na jale ḳhushk to ho

    ashk tuft se go jal na jale ḳhushk to ho

    paak karte hue gar ashk mire dāman

    nāla-e-garm se āñchal na jale ḳhushk to ho

    namī-e-ashk ke baa.is jo mirī aah se raat

    zer-e-ruḳh takiya-e-maḳhmal na jale ḳhushk to ho

    mehr-vash husn garmī se tire vaqt-e-araq

    tan pe gar nīma-e-malmal na jale ḳhushk to ho

    sāqiyā mausam-e-gul be-mai-o-mīnā jo mirī

    aah barq se bādal na jale ḳhushk to ho

    shola-rū nit savārī meñ sabab garmī ke

    zer-e-rāñ go tire kotal na jale ḳhushk to ho

    ho agar ye dil-e-sozāñ tire quliyāñ chilam

    āb-e-nai se jo ye narsal na jale ḳhushk to ho

    haa.e ai ātish-e-dil aab se garmī se jalā

    chashm-e-tar mirī chhāgal na jale ḳhushk to ho

    tifl bad-ḳhū hai mirā ashk, ḳhudāyā is

    go ba-ḳhirman huī koñpal na jale ḳhushk to ho

    ġharq hai ashk meñ ghar tujh se ab ai nāla-e-garm

    go mire sukh ye manDal na jale ḳhushk to ho

    ashk se ḳhāma rahe jo mire bas meñ na 'baqā'

    go tab-e-tan se ye babbal na jale ḳhushk to ho

    meri go aah se jangal na jale KHushk to ho

    ashk ki tuft se go jal na jale KHushk to ho

    pak karte hue gar ashk mere daman ka

    nala-e-garm se aanchal na jale KHushk to ho

    nami-e-ashk ke bais jo meri aah se raat

    zer-e-ruKH takiya-e-maKHmal na jale KHushk to ho

    mehr-wash husn ki garmi se tere waqt-e-araq

    tan pe gar nima-e-malmal na jale KHushk to ho

    saqiya mausam-e-gul be-mai-o-mina jo meri

    aah ki barq se baadal na jale KHushk to ho

    shola-ru nit ki sawari mein sabab garmi ke

    zer-e-ran go tere kotal na jale KHushk to ho

    ho agar ye dil-e-sozan tere quliyan ki chilam

    aab-e-nai se jo ye narsal na jale KHushk to ho

    hae ai aatish-e-dil aab se garmi se jala

    chashm-e-tar ki meri chhagal na jale KHushk to ho

    tifl bad-KHu hai mera ashk, KHudaya is ki

    go ba-KHirman hui konpal na jale KHushk to ho

    gharq hai ashk mein ghar tujh se ab ai nala-e-garm

    go mere sukh ka ye manDal na jale KHushk to ho

    ashk se KHama rahe jo mere bas mein na 'baqa'

    go tab-e-tan se ye babbal na jale KHushk to ho

    Source:

    Deewan-e-Baqa (Pg. ebook-48 page-27)

    • Author: Khwaja Ahmad Faruqi
      • Publisher: Shoba-e-Urdu, Delhi University, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now