aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri nazar ke liye koi riwayat na thi

Anwar Siddiqui

meri nazar ke liye koi riwayat na thi

Anwar Siddiqui

MORE BYAnwar Siddiqui

    merī nazar ke liye koī rivāyat na thī

    sab tarah dekhnā jabr thā aadat na thī

    aisā lagā jaise maiñ manzar-e-mānūs thā

    us nigāhoñ meñ kal shoḳhī-e-hairat na thī

    mere shab o roz the merī sadī tarah

    kaun lamha thā vo jis meñ qayāmat na thī

    pairahan-e-jism-o-jāñ zaḳhm-e-sitam thā tamām

    kaisā sitam-gar thā vo koī jarāhat na thī

    kab kisī dīvār se sail-e-tamannā rukā

    garm lahū kabhī koī sharī.at na thī

    kitne subuk-dil hue tujh se bichhaḌne ke ba.ad

    un se bhī milnā paḌā jin se mohabbat na thī

    meri nazar ke liye koi riwayat na thi

    sab ki tarah dekhna jabr tha aadat na thi

    aisa laga jaise main manzar-e-manus tha

    us ki nigahon mein kal shoKHi-e-hairat na thi

    mere shab o roz the meri sadi ki tarah

    kaun sa lamha tha wo jis mein qayamat na thi

    pairahan-e-jism-o-jaan zaKHm-e-sitam tha tamam

    kaisa sitam-gar tha wo koi jarahat na thi

    kab kisi diwar se sail-e-tamanna ruka

    garm lahu ki kabhi koi shariat na thi

    kitne subuk-dil hue tujh se bichhaDne ke baad

    un se bhi milna paDa jin se mohabbat na thi

    Source:

    Aazadi ke baad dehli men urdu gazal (Pg. 65)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now