meri nigah bhi mujhe pahchanti nahin
merī nigāh bhī mujhe pahchāntī nahīñ
hālāñki tere shahr meñ maiñ ajnabī nahīñ
ranjūr dhuup se huuñ na huuñ chāñdnī se ḳhush
daa.im jahāñ meñ dhuup nahīñ chāñdnī nahīñ
shādābī-e-chaman kī nishānī yahī to hai
vo shāḳh-e-ḳhushk jo kabhī hotī harī nahīñ
dhartī hile havā.eñ chaleñ bijliyāñ gireñ
ik shāḳh hai daraḳht ko jo chhoḌtī nahīñ
un se ummid-e-dād-e-ġhazal kis liye 'ziyā'
ye shā'irī hai aaj kī nā-shā'irī nahīñ
meri nigah bhi mujhe pahchanti nahin
haalanki tere shahr mein main ajnabi nahin
ranjur dhup se hun na hun chandni se KHush
daim jahan mein dhup nahin chandni nahin
shadabi-e-chaman ki nishani yahi to hai
wo shaKH-e-KHushk jo kabhi hoti hari nahin
dharti hile hawaen chalen bijliyan giren
ek shaKH hai daraKHt ko jo chhoDti nahin
un se ummid-e-dad-e-ghazal kis liye 'ziya'
ye sha'iri hai aaj ki na-sha'iri nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.