meri si tu ne gul se na gar ai saba kahi

meri si tu ne gul se na gar ai saba kahi
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
merī sī tū ne gul se na gar ai sabā kahī
maiñ bhī lagā duuñ aag gulistāñ ko tū sahī
go sub.h duur hai shab-e-hijrāñ kī lek tū
apnī taraf se tū na kar ai nāla-go tahī
zālim phirā mizāj na terā ġhurūr se
insāf kar tū maiñ tirī kyā kyā jafā sahī
latmoñ se bahr-e-husn ke hai zulf kā ye rañg
lahroñ meñ jaise phirtī ho nāgin bahī bahī
allāh-re ro.ab-e-husn ki us but ke sāmne
aa.ī jo baat dil se zabāñ par vahīñ rahī
ham us farīq meñ nahīñ vo aur log haiñ
duniyā ke nek-o-bad se jo rakhte haiñ āgahī
sad-āfrīñ ki bahr meñ 'saudā' kī 'mus.hafī'
ik tū ne āb-dār ġhazal aur bhī kahī
meri si tu ne gul se na gar ai saba kahi
main bhi laga dun aag gulistan ko tu sahi
go subh dur hai shab-e-hijran ki lek tu
apni taraf se tu na kar ai nala-go tahi
zalim phira mizaj na tera ghurur se
insaf kar tu main teri kya kya jafa sahi
latmon se bahr-e-husn ke hai zulf ka ye rang
lahron mein jaise phirti ho nagin bahi bahi
allah-re roab-e-husn ki us but ke samne
aai jo baat dil se zaban par wahin rahi
hum us fariq mein nahin wo aur log hain
duniya ke nek-o-bad se jo rakhte hain aagahi
sad-afrin ki bahr mein 'sauda' ki 'mushafi'
ek tu ne aab-dar ghazal aur bhi kahi
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(Vol-4)(pdf) (Pg. 257)
- Author : Ghulam hamdani Mashafi
- Publication : Qaumi council baraye -farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.