meri tanhai ke sahra se nikalo mujhko
merī tanhā.ī ke sahrā se nikālo mujh ko
vaqt kī tez havāoñ se bachā lo mujh ko
aa.ina mere ta'āqub meñ hai maiñ ḳhā.if huuñ
tum kisī aur na.ī shakl meñ Dhālo mujh ko
merā vā'da ki phir ujḌegī ye bastī na kabhī
apne ḳhvāboñ meñ ḳhayāloñ meñ basā lo mujh ko
is se pahle ki maiñ tā-hadd-e-nazar bhī na milūñ
koī sūrat ho kisī tarh bulā lo mujh ko
tum ho ik ḳhvāb to us ḳhvāb kī tā'bīr huuñ maiñ
maiñ agar ruuTh bhī jā.ūñ to manā lo mujh ko
sham'-e-mahfil na sahī dūd-e-charāġh-e-mahfil
ik zarā anjuman-e-dil meñ biThā lo mujh ko
ai 'jamīla' kisī tārīk sanam-ḳhāne meñ
raushnī ke liye chāho to jalā lo mujh ko
meri tanhai ke sahra se nikalo mujh ko
waqt ki tez hawaon se bacha lo mujh ko
aaina mere ta'aqub mein hai main KHaif hun
tum kisi aur nai shakl mein Dhaalo mujh ko
mera wa'da ki phir ujDegi ye basti na kabhi
apne KHwabon mein KHayalon mein basa lo mujh ko
is se pahle ki main ta-hadd-e-nazar bhi na milun
koi surat ho kisi tarh bula lo mujh ko
tum ho ek KHwab to us KHwab ki ta'bir hun main
main agar ruTh bhi jaun to mana lo mujh ko
sham'-e-mahfil na sahi dud-e-charagh-e-mahfil
ek zara anjuman-e-dil mein biTha lo mujh ko
ai 'jamila' kisi tarik sanam-KHane mein
raushni ke liye chaho to jala lo mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.