meri taqdir mein sahar bhi nahin
merī taqdīr meñ sahar bhī nahīñ
mere dil kī unheñ ḳhabar bhī nahīñ
ab tire saath zindagī bhar huuñ
terī bāñhoñ se ab mafar bhī nahīñ
manzileñ ḳhud bulā rahī haiñ hameñ
rā.egāñ apnā ye safar bhī nahīñ
din nikalne meñ vaqt lagtā hai
raat ab itnī muḳhtasar bhī nahīñ
peḌ kī chhāoñ mil nahīñ paa.ī
aur qismat meñ ab samar bhī nahīñ
raat ThanDī thī aur ghar thā duur
mujh ko 'ahmad' milā sharar bhī nahīñ
meri taqdir mein sahar bhi nahin
mere dil ki unhen KHabar bhi nahin
ab tere sath zindagi bhar hun
teri banhon se ab mafar bhi nahin
manzilen KHud bula rahi hain hamein
raegan apna ye safar bhi nahin
din nikalne mein waqt lagta hai
raat ab itni muKHtasar bhi nahin
peD ki chhaon mil nahin pai
aur qismat mein ab samar bhi nahin
raat ThanDi thi aur ghar tha dur
mujh ko 'ahmad' mila sharar bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.