Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri zindagi ka hai inhisar gul-o-saman ke nikhaar par

Raheemullah Shad

meri zindagi ka hai inhisar gul-o-saman ke nikhaar par

Raheemullah Shad

MORE BYRaheemullah Shad

    merī zindagī hai inhisār gul-o-saman ke nikhār par

    maiñ chaman meñ chāhe jahāñ rahūñ merā haq hai fasl-e-bahār par

    hai junūñ bhī chāk-e-qabā bhī hai vahī qaid-o-band saḳhtiyāñ

    hai zamāne bhar ke sitam ravā mirī ek zāt-e-figār par

    mirā baaġh ḳhār-e-nigāh-e-shab mirā shahr sab nazar meñ hai

    jo balā chalī to Thahar ga.ī isī ek ujḌe dayār par

    rahī vaqf-e-ġham mirī zindagī magar ek baat hai ḳhushī

    ki mirī hayāt qāfila chalā samt-e-jalva-e-yār par

    mirā dil udaas hai 'shād' zāġh-o-zaġhan ke shor ke darmiyāñ

    mirī aañkh chashma-e-ḳhūñ huī hai chaman hālat-e-zār par

    meri zindagi ka hai inhisar gul-o-saman ke nikhaar par

    main chaman mein chahe jahan rahun mera haq hai fasl-e-bahaar par

    hai junun bhi chaak-e-qaba bhi hai wahi qaid-o-band ki saKHtiyan

    hai zamane bhar ke sitam rawa meri ek zat-e-figar par

    mera bagh KHar-e-nigah-e-shab mera shahr sab ki nazar mein hai

    jo bala chali to Thahar gai isi ek ujDe dayar par

    rahi waqf-e-gham meri zindagi magar ek baat ki hai KHushi

    ki meri hayat ka qafila chala samt-e-jalwa-e-yar par

    mera dil udas hai 'shad' zagh-o-zaghan ke shor ke darmiyan

    meri aankh chashma-e-KHun hui hai chaman ki haalat-e-zar par

    Source:

    (Pg. 79)

    • Author: Raheemullah Shad
      • Publisher: M. R. Publications, New Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now