Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mil baiThne ke sare qarinon ki KHair ho

Shabnam Shakeel

mil baiThne ke sare qarinon ki KHair ho

Shabnam Shakeel

MORE BYShabnam Shakeel

    mil baiThne ke saare qarīnoñ ḳhair ho

    is kārvāñ-sarā ke makīnoñ ḳhair ho

    Thahrāv pāniyoñ meñ hai kitnā ajiib

    dariyā ke ḳhush-ḳhirām safīnoñ ḳhair ho

    har ḳhvāb ke safar meñ mire paañv ke tale

    aa kar khisakne vaalī zamīnoñ ḳhair ho

    kar ek lamha sukh mire roz-o-shab ko daan

    tere tamām saal mahīnoñ ḳhair ho

    dam se unhī ke apne dar-o-bām haiñ buland

    mere vatan ke ḳhāk-nashīnoñ ḳhair ho

    mil baiThne ke sare qarinon ki KHair ho

    is karwan-sara ke makinon ki KHair ho

    Thahraw paniyon mein hai kitna ajib sa

    dariya ke KHush-KHiram safinon ki KHair ho

    har KHwab ke safar mein mere panw ke tale

    aa kar khisakne wali zaminon ki KHair ho

    kar ek lamha sukh ka mere roz-o-shab ko dan

    tere tamam sal mahinon ki KHair ho

    dam se unhi ke apne dar-o-baam hain buland

    mere watan ke KHak-nashinon ki KHair ho

    Source:

    Shab Zaad (Pg. 67)

    • Author: Shabnam Shakeel
      • Edition: 1978
      • Publisher: Mavaraa Publications
      • Year of Publication: 1978
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now