Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mil baiThne ye de hai falak ek dam kahan

Shah Naseer

mil baiThne ye de hai falak ek dam kahan

Shah Naseer

MORE BYShah Naseer

    mil baiThne ye de hai falak ek dam kahāñ

    kyā jaane tum kahāñ ho koī dam ko ham kahāñ

    kūche se tere uTh ke bhalā jaa.eñ ham kahāñ

    juz naqsh-e-pā hai rahbar-e-mulk-e-adam kahāñ

    dāman-kashāñ phire hai mirī ḳhaak se hanūz

    rakhtā hai aah vo sar-e-marqad qadam kahāñ

    us ke saf-e-mizha se laḌāve nishān-e-āh

    ai fauj-e-ashk jaa.e hai le kar alam kahāñ

    merā laḳht-e-dil hai ki ham-rāh-e-ashk hai

    varna rahe hai aab se ātish baham kahāñ

    sab se judā tire ḳhat-e-raihāñ shaan hai

    us ḳhat ko likh sake hai zamurrad raqam kahāñ

    muñh dekhūñ jo kare yad-e-qudrat se ham-sarī

    aisī safā.ī haath aur ye qalam kahāñ

    kyūñ-kar na saqf-e-charḳh-e-kuhan tham rahe 'nasīr'

    mere sutūn-e-āh chhuT is meñ hai tham kahāñ

    mil baiThne ye de hai falak ek dam kahan

    kya jaane tum kahan ho koi dam ko hum kahan

    kuche se tere uTh ke bhala jaen hum kahan

    juz naqsh-e-pa hai rahbar-e-mulk-e-adam kahan

    daman-kashan phire hai meri KHak se hanuz

    rakhta hai aah wo sar-e-marqad qadam kahan

    us ke saf-e-mizha se laDawe nishan-e-ah

    ai fauj-e-ashk jae hai le kar alam kahan

    mera hi laKHt-e-dil hai ki ham-rah-e-ashk hai

    warna rahe hai aab se aatish baham kahan

    sab se juda tere KHat-e-raihan ki shan hai

    us KHat ko likh sake hai zamurrad raqam kahan

    munh dekhun jo kare yad-e-qudrat se ham-sari

    aisi safai hath ki aur ye qalam kahan

    kyun-kar na saqf-e-charKH-e-kuhan tham rahe 'nasir'

    mere sutun-e-ah chhuT is mein hai tham kahan

    Source:

    Kulliyat-e-Shah Nasiir áPart IIâ(rekhta website) (Pg. 327)

    • Author: Shah Naseer
      • Edition: 1977
      • Publisher: Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore, Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1977
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now