Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mil gae apne yar se ab ki

Meer Hasan

mil gae apne yar se ab ki

Meer Hasan

MORE BYMeer Hasan

    mil ga.e apne yaar se ab

    haz uThāyā bahār se ab

    laḳht-e-dil barg-e-dil tarz jhaḌe

    mizha shāḳh-sār se ab

    jis tarah aage phir ga.e the kahīñ

    phir na phiryo qarār se ab

    dekheñ kyā kyā shagūfe phūleñge

    is dil-e-dāġh-dār se ab

    gar vo aave to itnā kahiyo 'hasan'

    mar gayā intizār se ab

    mil gae apne yar se ab ki

    haz uThaya bahaar se ab ki

    laKHt-e-dil barg-e-dil ki tarz jhaDe

    mizha ki shaKH-sar se ab ki

    jis tarah aage phir gae the kahin

    phir na phiryo qarar se ab ki

    dekhen kya kya shagufe phulenge

    is dil-e-dagh-dar se ab ki

    gar wo aawe to itna kahiyo 'hasan'

    mar gaya intizar se ab ki

    Source:

    Deewan-e-Meer Hasan (Pg. 102)

    • Author: Meer Hasan
      • Edition: 1912
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now