mil jaega tera koi hamnam kisi roz
mil jā.egā terā koī hamnām kisī roz
aa jā.egā bīmār ko ārām kisī roz
sunte haiñ ki āñkhoñ meñ bhī nashsha to bahut hai
bhar do nā nigāhoñ se mirā jaam kisī roz
likkhe na agar ham ne bhī ulfat ke tarāne
ho jā.eñge ham log bhī gumnām kisī roz
tum baiThnā sharmā ke zarā der ko aage
maiñ tum ko nihārūñgā sar-e-shām kisī roz
kyā lutf ye detā hai mire naam ke pīchhe
dekhūñgā lagā kar maiñ tirā naam kisī roz
barbād chaman kar ke tū ḳhush hai to zarā sun
dekhegā jahāñ terā bhī anjām kisī roz
badnām jo karte haiñ hameñ un ko batā do
ho jā.eñge maqsad meñ vo nākām kisī roz
kahtā hai 'asad' dil ye use apnā banā le
bhejūñgā use dil kā ye paiġhām kisī roz
mil jaega tera koi hamnam kisi roz
aa jaega bimar ko aaram kisi roz
sunte hain ki aankhon mein bhi nashsha to bahut hai
bhar do na nigahon se mera jam kisi roz
likkhe na agar hum ne bhi ulfat ke tarane
ho jaenge hum log bhi gumnam kisi roz
tum baiThna sharma ke zara der ko aage
main tum ko nihaarunga sar-e-sham kisi roz
kya lutf ye deta hai mere nam ke pichhe
dekhunga laga kar main tera nam kisi roz
barbaad chaman kar ke tu KHush hai to zara sun
dekhega jahan tera bhi anjam kisi roz
badnam jo karte hain hamein un ko bata do
ho jaenge maqsad mein wo nakaam kisi roz
kahta hai 'asad' dil ye use apna bana le
bhejunga use dil ka ye paigham kisi roz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.