mil-jul ke barahna jise duniya ne kiya hai
mil-jul ke barahna jise duniyā ne kiyā hai
us dard ne ab merā badan oḌh liyā hai
maiñ ret ke dariyā pe khaḌā soch rahā huuñ
is shahr meñ paanī to yazīdoñ ne piyā hai
ai gor-kanoñ qabr kā de kar mujhe dhokā
tum ne to ḳhalāoñ meñ mujhe gaaḌ diyā hai
maiñ sāhab-e-izzat huuñ mirī laash na kholo
dastār ke purzoñ se kafan maiñ ne siyā hai
phailā hai tirā karb 'qatīl' aadhī sadī par
hairat hai ki tū itne baras kaise jiyā hai
mil-jul ke barahna jise duniya ne kiya hai
us dard ne ab mera badan oDh liya hai
main ret ke dariya pe khaDa soch raha hun
is shahr mein pani to yazidon ne piya hai
ai gor-kanon qabr ka de kar mujhe dhoka
tum ne to KHalaon mein mujhe gaD diya hai
main sahab-e-izzat hun meri lash na kholo
dastar ke purzon se kafan main ne siya hai
phaila hai tera karb 'qatil' aadhi sadi par
hairat hai ki tu itne baras kaise jiya hai
- Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 139)
- Author : Qateel Shifai
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.