aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mil mil ke doston ne wo di hai dagha mujhe

Ehsan Danish

mil mil ke doston ne wo di hai dagha mujhe

Ehsan Danish

MORE BYEhsan Danish

    mil mil ke dostoñ ne vo hai daġhā mujhe

    ab ḳhud pe bhī nahīñ hai gumān-e-vafā mujhe

    uf ibtidā-e-shauq ma.asūm justujū

    har phuul thā chaman meñ tirā naqsh-e-pā mujhe

    ai khiñchne vaale dekh mirī be-panāhiyāñ

    aatī hai dushmanoñ se bhī bū-e-vafā mujhe

    duniyā tumheñ aziiz hai mere sivā magar

    aalam hai nā-pasand tumhāre sivā mujhe

    kartī nahīñ ubuur tumheñ merī justujū

    kyā kar diyā hai tum ne ye kyā ho gayā mujhe

    vaz.an bhī hañs paḌā huuñ to phir dil se muddatoñ

    aa.ī karāhne sadā par sadā mujhe

    phir baat baat meñ hai lachak iltifāt

    kyā phir dikhāoge koī ḳhvāb-e-vafā mujhe

    ye hai fuġhāñ zor to phir vo chukā qafas

    kar degī merī sho.ala-navā.ī rihā mujhe

    kotāhī-e-nazar se ahāta na ho sakā

    milne ko yuuñ milā hai butoñ meñ ḳhudā mujhe

    merī vafā pe aap chīñ-bar-jabīñ nahīñ

    maiñ ḳhud bhī sochtā huuñ ye kyā ho gayā mujhe

    jis mudda.ā-e-shauq daryāft haiñ huzūr

    māyūs kar rahā hai vahī mudda.ā mujhe

    ik ziiq ik azaab ik andoh ik taḌap

    tum ne ye dil ke naam se kyā de diyā mujhe

    un ko gañvā ke haal rahā hai ye muddatoñ

    aayā ḳhayāl bhī to baḌā ġham huā mujhe

    iflās ke shabāb-e-muqaddas meñ bārhā

    aayā hai pūchhne mire ghar par ḳhudā mujhe

    'ehsān' apne vaqt pe maut aa.egī magar

    jiine mashvara nahīñ detī fazā mujhe

    mil mil ke doston ne wo di hai dagha mujhe

    ab KHud pe bhi nahin hai guman-e-wafa mujhe

    uf ibtida-e-shauq ki masum justuju

    har phul tha chaman mein tera naqsh-e-pa mujhe

    ai khinchne wale dekh meri be-panahiyan

    aati hai dushmanon se bhi bu-e-wafa mujhe

    duniya tumhein aziz hai mere siwa magar

    aalam hai na-pasand tumhaare siwa mujhe

    karti nahin ubur tumhein meri justuju

    kya kar diya hai tum ne ye kya ho gaya mujhe

    wazan bhi hans paDa hun to phir dil se muddaton

    aai karahne ki sada par sada mujhe

    phir baat baat mein hai lachak iltifat ki

    kya phir dikhaoge koi KHwab-e-wafa mujhe

    ye hai fughan ka zor to phir wo chuka qafas

    kar degi meri shoala-nawai riha mujhe

    kotahi-e-nazar se ahata na ho saka

    milne ko yun mila hai buton mein KHuda mujhe

    meri wafa pe aap hi chin-bar-jabin nahin

    main KHud bhi sochta hun ye kya ho gaya mujhe

    jis muddaa-e-shauq ki daryaft hain huzur

    mayus kar raha hai wahi muddaa mujhe

    ek ziq ek azab ek andoh ek taDap

    tum ne ye dil ke nam se kya de diya mujhe

    un ko ganwa ke haal raha hai ye muddaton

    aaya KHayal bhi to baDa gham hua mujhe

    iflas ke shabab-e-muqaddas mein barha

    aaya hai puchhne mere ghar par KHuda mujhe

    'ehsan' apne waqt pe maut aaegi magar

    jine ka mashwara nahin deti faza mujhe

    Source:

    Ghazaliyat-e-ahsaan Danish (Pg. 301)

    • Author: Shabnam Parveen
      • Edition: 2006
      • Publisher: Asghar Publishers
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now