Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mil sakegi ab bhi dad-e-abla-pai to kya

Ejaz Siddiqi

mil sakegi ab bhi dad-e-abla-pai to kya

Ejaz Siddiqi

MORE BYEjaz Siddiqi

    mil sakegī ab bhī dād-e-ābla-pā.ī to kyā

    fāsle kam ho ga.e manzil qarīb aa.ī to kyā

    hai vahī jabr-e-asīrī aur vahī ġham qafas

    dil pe ban aa.ī to kyā ye ruuh ghabrā.ī to kyā

    apnī be-tābī-e-dil ḳhud tamāshā ban ga.e

    aap mahfil ke bante ham tamāshā.ī to kyā

    baat to jab hai ki saarā gulsitāñ hañsne lage

    fasl-e-gul meñ chand phūloñ hañsī aa.ī to kyā

    laao in be-kaifiyoñ se nikāleñ rāh-e-kaif

    vaqt ab legā koī pur-kaif añgḌā.ī to kyā

    kam-nigāhī ne use kuchh aur gahrā kar diyā

    vo chhupāte raheñ rañg-e-shanāsā.ī to kyā

    phir zarā der meñ chauñkā.egā ḳhvāb-e-sahar

    āḳhir-e-shab jāgne ke ba.ad niiñd aa.ī to kyā

    beḌiyāñ vahm-e-ta.alluq na.ī pahnā ga.e

    dost aa kar kāTte zanjīr tanhā.ī to kyā

    shorish-e-afkār se 'e'jāz' dāmānda sahī

    chhin sakegī phir bhī fikr-o-fan rā'nā.ī to kyā

    mil sakegi ab bhi dad-e-abla-pai to kya

    fasle kam ho gae manzil qarib aai to kya

    hai wahi jabr-e-asiri aur wahi gham ka qafas

    dil pe ban aai to kya ye ruh ghabrai to kya

    apni be-tabi-e-dil ka KHud tamasha ban gae

    aap ki mahfil ke bante hum tamashai to kya

    baat to jab hai ki sara gulsitan hansne lage

    fasl-e-gul mein chand phulon ki hansi aai to kya

    lao in be-kaifiyon hi se nikalen rah-e-kaif

    waqt ab lega koi pur-kaif angDai to kya

    kam-nigahi ne use kuchh aur gahra kar diya

    wo chhupate hi rahen rang-e-shanasai to kya

    phir zara si der mein chaunkaega KHwab-e-sahar

    aaKHir-e-shab jagne ke baad nind aai to kya

    beDiyan wahm-e-talluq ki nai pahna gae

    dost aa kar kaTte zanjir tanhai to kya

    shorish-e-afkar se 'e'jaz' damanda sahi

    chhin sakegi phir bhi fikr-o-fan ki ra'nai to kya

    Source:

    Naqsh (Shumara Number 009 Magazine) (Pg. E-105 B-112)

      • Edition: 26 Sept 1960
      • Publisher: Kashana-e-Urdu, Karachi
      • Year of Publication: 1961
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now