Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mila bhi zist mein kya ranj-e-rah-guzar se kam

Ambareen Haseeb ambar

mila bhi zist mein kya ranj-e-rah-guzar se kam

Ambareen Haseeb ambar

MORE BYAmbareen Haseeb ambar

    milā bhī ziist meñ kyā ranj-e-rah-guzār se kam

    so apnā shauq-e-safar bhī nahīñ ġhubār se kam

    tire firāq meñ dil ajiib aalam hai

    na kuchh ḳhumār se baḌh kar na kuchh ḳhumār se kam

    hañsī-ḳhushī rafāqat kisī se kyā chāheñ

    yahāñ to miltā nahīñ koī ġham-gusār se kam

    vo muntazir hai yaqīnan havā-e-sarsar

    jo habs ho na sakā bād-e-nau-bahār se kam

    bulandiyoñ ke safar meñ qadam zamīñ pe raheñ

    ye taḳht-o-tāj bhī hote nahīñ haiñ daar se kam

    ajiib rañgoñ se mujh ko sañvār detī hai

    ki vo nigāh-e-satā.ish nahīñ siñghār se kam

    mirī anā sadā darmiyāñ rahī haa.el

    vagarna kuchh bhī nahīñ mere iḳhtiyār se kam

    vo jañg jis meñ muqābil rahe zamīr mirā

    mujhe vo jiit bhī 'amabar' na hogī haar se kam

    mila bhi zist mein kya ranj-e-rah-guzar se kam

    so apna shauq-e-safar bhi nahin ghubar se kam

    tere firaq mein dil ka ajib aalam hai

    na kuchh KHumar se baDh kar na kuchh KHumar se kam

    hansi-KHushi ki rafaqat kisi se kya chahen

    yahan to milta nahin koi gham-gusar se kam

    wo muntazir hai yaqinan hawa-e-sarsar ka

    jo habs ho na saka baad-e-nau-bahaar se kam

    bulandiyon ke safar mein qadam zamin pe rahen

    ye taKHt-o-taj bhi hote nahin hain dar se kam

    ajib rangon se mujh ko sanwar deti hai

    ki wo nigah-e-sataish nahin singhaar se kam

    meri ana hi sada darmiyan rahi hael

    wagarna kuchh bhi nahin mere iKHtiyar se kam

    wo jang jis mein muqabil rahe zamir mera

    mujhe wo jit bhi 'amabar' na hogi haar se kam

    Source:

    Dil Kay Ufuq Par (Pg. 63)

    • Author: Ambareen Haseeb Amber
      • Edition: 2012
      • Publisher: Kitab Market ,Office 17 Urdu Bazar, Karachi, Pakistan
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now