Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mila-dila sahi ek KHushk haar baqi hai

Siraj Lakhnavi

mila-dila sahi ek KHushk haar baqi hai

Siraj Lakhnavi

MORE BYSiraj Lakhnavi

    milā-dilā sahī ik ḳhushk haar baaqī hai

    abhī bahār-e-shikast-e-bahār baaqī hai

    nazar sañvār chukī kitne ā.ina-ḳhāne

    usī tarah havas-e-dīd-e-yār baaqī hai

    bichhaunā kāñToñ hai phir bhī aa.ī jaatī hai niiñd

    abhī tasavvur-e-zānū-e-yār baaqī hai

    shikast-e-ahd ke kyuuñ hoñ na silsile qaa.em

    ik aasrā pas-e-har-e'tibār baaqī hai

    qafas meñ fursat-e-fikr-e-chaman-tarāz kahāñ

    yahī bahut hai ḳhayāl-e-bahār baaqī hai

    vo āñkheñ bhī khulīñ badlī jo vaqt ne karvaT

    idhar nahīñ ab idhar intizār baaqī hai

    ye rūh-o-tan judā.ī marsiya kab tak

    vahī do-rañgī-e-lail-o-nahār baaqī hai

    chaman to nīm-nigāhī ne kar diyā taqsīm

    ḳhudā-e-vaqt koī aur vaar baaqī hai

    'sirāj' ab bhī ye aqlīm-e-rañg-o-bū hai bahut

    luTī-luTā.ī huī jo bahār baaqī hai

    mila-dila sahi ek KHushk haar baqi hai

    abhi bahaar-e-shikast-e-bahaar baqi hai

    nazar sanwar chuki kitne aaina-KHane

    usi tarah hawas-e-did-e-yar baqi hai

    bichhauna kanTon ka hai phir bhi aai jati hai nind

    abhi tasawwur-e-zanu-e-yar baqi hai

    shikast-e-ahd ke kyun hon na silsile qaem

    ek aasra pas-e-har-e'tibar baqi hai

    qafas mein fursat-e-fikr-e-chaman-taraaz kahan

    yahi bahut hai KHayal-e-bahaar baqi hai

    wo aankhen bhi khulin badli jo waqt ne karwaT

    idhar nahin ab idhar intizar baqi hai

    ye ruh-o-tan ki judai ka marsiya kab tak

    wahi do-rangi-e-lail-o-nahaar baqi hai

    chaman to nim-nigahi ne kar diya taqsim

    KHuda-e-waqt koi aur war baqi hai

    'siraj' ab bhi ye aqlim-e-rang-o-bu hai bahut

    luTi-luTai hui jo bahaar baqi hai

    Source:

    Shola-e-Aawaz (Pg. e-146 p-145)

    • Author: Siraj Lakhnavi
      • Edition: 1920
      • Publisher: Nizami Press, Lucknow
      • Year of Publication: 1920
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now