Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mila hai kaisa tere eatibar ka mausam

Ehsaan Ghaman

mila hai kaisa tere eatibar ka mausam

Ehsaan Ghaman

MORE BYEhsaan Ghaman

    milā hai kaisā tire e.atibār mausam

    ki jaise chāroñ taraf hai bahār mausam

    utartī jaatī haiñ khetoñ meñ yaad chiḌiyāñ

    nikhar rahā hai mire sabza-zār mausam

    kuchh aise mauj-e-sabā ne chhuā hai gāloñ ko

    ki dil meñ khilne lagā barg-o-bār mausam

    na.ī rutoñ meñ maleñge usī jagah ham tum

    sañbhāl rakhnā mire yaar pyaar mausam

    nikhartī dhuup thī ujle the mere shām-o-sahar

    kahāñ se aaya hai gard-o-ġhubār mausam

    abhī to ujlā hai āñgan gulāb taaza haiñ

    guzar jaa.e na qaul-o-qarār mausam

    kuchh aur koñpleñ phūTeñgī phuul ā.eñge

    nayā nayā hai abhī shāḳh-sār mausam

    har ek shāḳh pe chāñdī hai khil rahī ehsān

    guloñ pe aayā hai sola-siñghār mausam

    mila hai kaisa tere eatibar ka mausam

    ki jaise chaaron taraf hai bahaar ka mausam

    utarti jati hain kheton mein yaad ki chiDiyan

    nikhar raha hai mere sabza-zar ka mausam

    kuchh aise mauj-e-saba ne chhua hai galon ko

    ki dil mein khilne laga barg-o-bar ka mausam

    nai ruton mein malenge usi jagah hum tum

    sanbhaal rakhna mere yar pyar ka mausam

    nikharti dhup thi ujle the mere sham-o-sahar

    kahan se aaya hai gard-o-ghubar ka mausam

    abhi to ujla hai aangan gulab taza hain

    guzar hi jae na qaul-o-qarar ka mausam

    kuchh aur konplen phuTengi phul aaenge

    naya naya hai abhi shaKH-sar ka mausam

    har ek shaKH pe chandi hai khil rahi ehsan

    gulon pe aaya hai sola-singhaar ka mausam

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now