Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mila tha roz-e-azal zauq-e-kaamyab mujhe

Munawwar Lakhnavi

mila tha roz-e-azal zauq-e-kaamyab mujhe

Munawwar Lakhnavi

MORE BYMunawwar Lakhnavi

    milā thā roz-e-azal zauq-e-kāmyāb mujhe

    mirī nazar ne kiyā ḳhud intiḳhāb mujhe

    na e'tibār mire zarf thā saaqī ko

    kabhī na bhar ke diyā sāġhar-e-sharāb mujhe

    havā-e-dahr se bikhrā hai dil shīrāza

    varaq varaq nazar aatī hai ye kitāb mujhe

    maiñ apnī ḳhāmī-e-tarz-e-bayāñ pe nādim huuñ

    mirā savāl ḳhud ban gayā javāb mujhe

    kiyā hai dīda-e-anjām maiñ ne āgah-e-rāz

    bisāt-e-dahr 'munavvar' hai farsh-e-ḳhvāb mujhe

    mila tha roz-e-azal zauq-e-kaamyab mujhe

    meri nazar ne kiya KHud hi intiKHab mujhe

    na e'tibar mere zarf ka tha saqi ko

    kabhi na bhar ke diya saghar-e-sharab mujhe

    hawa-e-dahr se bikhra hai dil ka shiraaza

    waraq waraq nazar aati hai ye kitab mujhe

    main apni KHami-e-tarz-e-bayan pe nadim hun

    mera sawal hi KHud ban gaya jawab mujhe

    kiya hai dida-e-anjam main ne aagah-e-raaz

    bisat-e-dahr 'munawwar' hai farsh-e-KHwab mujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now