Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

milaun kis ki aankhon se main apni chashm-e-hairan ko

Khwaja Meer Dard

milaun kis ki aankhon se main apni chashm-e-hairan ko

Khwaja Meer Dard

MORE BYKhwaja Meer Dard

    milā.ūñ kis āñkhoñ se maiñ apnī chashm-e-hairāñ ko

    ayaañ jab har jagah dekhūñ usī ke nāz-e-pinhāñ ko

    tujhe ai sham.a kyā dekheñ zamāne ko dikhānā hai

    hameñ juuñ kāġhaz-e-ātish-zada aur charāġhāñ ko

    na tanhā kuchh yahī atfāl dushman haiñ divānoñ ke

    bhare hai koh bhī dekhā to yaañ pattharoñ se dāmāñ ko

    jhamakte haiñ sitāroñ tarah surāḳh hastī ke

    chhupāyā go ki juuñ ḳhurshīd meñ dāġh-e-numāyāñ ko

    na vājib kahā jaave na sādiq mumtanā us par

    kiyā tashḳhīs kuchh ham ne na hargiz shaḳhs-e-imkāñ ko

    milaun kis ki aankhon se main apni chashm-e-hairan ko

    ayan jab har jagah dekhun usi ke naz-e-pinhan ko

    tujhe ai shama kya dekhen zamane ko dikhana hai

    hamein jun kaghaz-e-atish-zada aur hi charaghan ko

    na tanha kuchh yahi atfal dushman hain diwanon ke

    bhare hai koh bhi dekha to yan pattharon se daman ko

    jhamakte hain sitaron ki tarah suraKH hasti ke

    chhupaya go ki jun KHurshid mein dagh-e-numayan ko

    na wajib hi kaha jawe na sadiq mumtana us par

    kiya tashKHis kuchh hum ne na hargiz shaKHs-e-imkan ko

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    milaun kis ki aankhon se main apni chashm-e-hairan ko Fasih Akmal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now