Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mile jo gham bhi to usko barat KHushi ki tarah

Shariq Balyavi

mile jo gham bhi to usko barat KHushi ki tarah

Shariq Balyavi

MORE BYShariq Balyavi

    mile jo ġham bhī to us ko barat ḳhushī tarah

    guzār zindagī nādān zindagī tarah

    jahāñ pe haq ho vahāñ haq baat kah diije

    ḳhamosh rahnā bhī hai jurm ḳhud-kushī tarah

    jahān-e-hirs-o-havas to hai gila tāham

    mile haiñ mujh ko farishte bhī aadmī tarah

    jo baat shīrīñ-bayānī aks rakhtī hai

    vo baat dil meñ utartī hai raushnī tarah

    vagarna rasm-e-jahāñ-dāri-e-hayāt nibhā

    kisī ko chaah to phir chaah bandagī tarah

    vafā hurmat-e-behad paas thā mujh ko

    tumhāre shahr se guzrā huuñ ajnabī tarah

    maiñ apnā aap mukammal vajūd huuñ 'shāriq'

    mujhe ġharaz nahīñ hai banūñ kisī tarah

    mile jo gham bhi to us ko barat KHushi ki tarah

    guzar zindagi nadan zindagi ki tarah

    jahan pe haq ho wahan haq ki baat kah dije

    KHamosh rahna bhi hai jurm KHud-kushi ki tarah

    jahan-e-hirs-o-hawas ka to hai gila taham

    mile hain mujh ko farishte bhi aadmi ki tarah

    jo baat shirin-bayani ka aks rakhti hai

    wo baat dil mein utarti hai raushni ki tarah

    wagarna rasm-e-jahan-dari-e-hayat nibha

    kisi ko chah to phir chah bandagi ki tarah

    wafa ki hurmat-e-behad ka pas tha mujh ko

    tumhaare shahr se guzra hun ajnabi ki tarah

    main apna aap mukammal wajud hun 'shaariq'

    mujhe gharaz hi nahin hai banun kisi ki tarah

    Source:

    Be-Gumaan (Pg. 264)

    • Author: Shariq Balyavi
      • Publisher: Isra Publication, Karachi
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now