Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mili hai chhuTTi so tu bhi apnon ko ja milega

Abu Leveeza Ali

mili hai chhuTTi so tu bhi apnon ko ja milega

Abu Leveeza Ali

MORE BYAbu Leveeza Ali

    milī hai chhuTTī so bhī apnoñ ko milegā

    hamārī āñkhoñ ḳhair phir jāgnā milegā

    na aa.ine se ḳhud ye pūchheñ ki aap kyā haiñ

    bahut mileñge magar kahāñ aap milegā

    vo apnā haamī ye kah rahā thā ki terī ḳhātir

    jo jañg huī to vo pahlī saf meñ khaḌā milegā

    hamārī āñkhoñ se chain le kar so sakegā

    batā tujh ko aisā karne se kyā milegā

    charāġh-e-saharī dil hālat milegī tum ko

    jo tum miloge to dil hamārā bujhā milegā

    hazār rañgoñ ek sapnā sajā rahe ho

    hazār rātoñ tohfatan ratjagā milegā

    tumhārī āñkhoñ ke sabz rañgoñ meñ dilkashī hai

    maiñ raat jaagā huuñ merī āñkhoñ meñ kyā milegā

    hamārā chehrā udāsiyoñ se banā huā hai

    hamāre chehre rañg aksar uḌā milegā

    mili hai chhuTTi so tu bhi apnon ko ja milega

    hamari aankhon ka ki KHair phir jagna milega

    na aaine se hi KHud ye puchhen ki aap kya hain

    bahut milenge magar kahan aap sa milega

    wo apna hami ye kah raha tha ki teri KHatir

    jo jang hui to wo pahli saf mein khaDa milega

    hamari aankhon se chain le kar tu so sakega

    tu hi bata tujh ko aisa karne se kya milega

    charagh-e-sahari si dil ki haalat milegi tum ko

    jo tum miloge to dil hamara bujha milega

    hazar rangon ka ek sapna saja rahe ho

    hazar raaton ka tohfatan ratjaga milega

    tumhaari aankhon ke sabz rangon mein dilkashi hai

    main raat jaga hun meri aankhon mein kya milega

    hamara chehra udasiyon se bana hua hai

    hamare chehre ka rang aksar uDa milega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now