aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mili hawaon mein uDne ki wo saza yaro

Waseem Barelvi

mili hawaon mein uDne ki wo saza yaro

Waseem Barelvi

MORE BYWaseem Barelvi

    milī havāoñ meñ uḌne vo sazā yaaro

    ki maiñ zamīn ke rishtoñ se kaT gayā yaaro

    vo be-ḳhayāl musāfir meñ rāsta yaaro

    kahāñ thā bas meñ mire us ko roknā yaaro

    mire qalam pe zamāne gard aisī thī

    ki apne baare meñ kuchh bhī na likh sakā yaaro

    tamām shahr jis talāsh meñ gum thā

    maiñ us ke ghar pata kis se pūchhtā yaaro

    jo be-shumār diloñ nazar meñ rahtā thā

    vo apne bachchoñ ko ik ghar na de sakā yaaro

    janāb-e-'mīr' ḳhud-ġharziyoñ ke sadqe meñ

    miyāñ 'vasīm' ke kahne ko kyā bachā yaaro

    mili hawaon mein uDne ki wo saza yaro

    ki main zamin ke rishton se kaT gaya yaro

    wo be-KHayal musafir mein rasta yaro

    kahan tha bas mein mere us ko rokna yaro

    mere qalam pe zamane ki gard aisi thi

    ki apne bare mein kuchh bhi na likh saka yaro

    tamam shahr hi jis ki talash mein gum tha

    main us ke ghar ka pata kis se puchhta yaro

    jo be-shumar dilon ki nazar mein rahta tha

    wo apne bachchon ko ek ghar na de saka yaro

    janab-e-'mir' ki KHud-gharziyon ke sadqe mein

    miyan 'wasim' ke kahne ko kya bacha yaro

    Source:

    Mera Kiya (Pg. 100)

    • Author: Waseem Barelvi
      • Edition: 2007
      • Publisher: Maktaba Jamia Ltd.
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now