milo to aise ki rah jae shan KHwabon ki
milo to aise ki rah jaa.e shaan ḳhvāboñ kī
koī ghaḌī to bane tarjumān ḳhvāboñ kī
jo ḳhvāb dekhne vaale the sun rahe the use
vo shaḳhs bol rahā thā zabān ḳhvāboñ kī
maiñ kis se jā ke kahūñ tere ḳhvāb dikhlā.e
sañbhāl rakkhī hai kis ne kamān ḳhvāboñ kī
kabhī kabhī to ye lagtā hai jaise duniyā bhī
bahut qadīm hai ik dāstān ḳhvāboñ kī
milo to aise ki rah jae shan KHwabon ki
koi ghaDi to bane tarjuman KHwabon ki
jo KHwab dekhne wale the sun rahe the use
wo shaKHs bol raha tha zaban KHwabon ki
main kis se ja ke kahun tere KHwab dikhlae
sanbhaal rakkhi hai kis ne kaman KHwabon ki
kabhi kabhi to ye lagta hai jaise duniya bhi
bahut qadim hai ek dastan KHwabon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.