Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

milta hi nahin dard ka paikar koi mujh sa

Khursheed Rizvi

milta hi nahin dard ka paikar koi mujh sa

Khursheed Rizvi

MORE BYKhursheed Rizvi

    miltā nahīñ dard paikar koī mujh

    ā.īne meñ ik shaḳhs hai kamtar koī mujh

    īmān bhī tanhā hai mirā kufr bhī tanhā

    momin koī mujh hai na kāfir koī mujh

    hai kaun jo is abr ke parde meñ ravāñ hai

    dīvāna hai dīvāna sarāsar koī mujh

    kohsār ke dāman meñ milātā hai nihāñ kaun

    āvāz se āvāz barābar koī mujh

    lene nahīñ detā kisī karvaT mujhe ārām

    ik shaḳhs haTīlā mire andar koī mujh

    maiñ TūTtā taarā huuñ nazar mujh se milā lo

    phir kaahe ko dekhoge mukarrar koī mujh

    ā.īna huuñ aur chehra-e-'ḳhurshīd' pe huuñ

    hogā kahīñ qismat sikandar koī mujh

    milta hi nahin dard ka paikar koi mujh sa

    aaine mein ek shaKHs hai kamtar koi mujh sa

    iman bhi tanha hai mera kufr bhi tanha

    momin koi mujh sa hai na kafir koi mujh sa

    hai kaun jo is abr ke parde mein rawan hai

    diwana hai diwana sarasar koi mujh sa

    kohsar ke daman mein milata hai nihan kaun

    aawaz se aawaz barabar koi mujh sa

    lene nahin deta kisi karwaT mujhe aaram

    ek shaKHs haTila mere andar koi mujh sa

    main TuTta tara hun nazar mujh se mila lo

    phir kahe ko dekhoge mukarrar koi mujh sa

    aaina hun aur chehra-e-'KHurshid' pe wa hun

    hoga kahin qismat ka sikandar koi mujh sa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now