milta nahin qarar kisi bhi bahaar mein
miltā nahīñ qarār kisī bhī bahār meñ
itne mile haiñ ġham ki nahīñ ab shumār meñ
āñkhoñ meñ ḳhvāb dil meñ tamannā.eñ be-sabab
paayā nahīñ hai kuchh bhī magar intizār meñ
rahzan banā har ek qadam ḳhud hī raah kā
kyā ḳhaak ham bacheñge yaañ un se pyaar meñ
dhokā diyā zamāne ne ham ko har ek pal
paayā na kuchh bhī ham ne vafā ke dayār meñ
sho'loñ meñ ghir ga.ī hai tamanna kī raushnī
apnā alag maqām hai lekin mazār meñ
har ek chehra vaqt ke parde meñ chhup gayā
pahchān DhūñDte haiñ ye 'āshiq ġhubār meñ
milta nahin qarar kisi bhi bahaar mein
itne mile hain gham ki nahin ab shumar mein
aankhon mein KHwab dil mein tamannaen be-sabab
paya nahin hai kuchh bhi magar intizar mein
rahzan bana har ek qadam KHud hi rah ka
kya KHak hum bachenge yan un se pyar mein
dhoka diya zamane ne hum ko har ek pal
paya na kuchh bhi hum ne wafa ke dayar mein
sho'lon mein ghir gai hai tamanna ki raushni
apna alag maqam hai lekin mazar mein
har ek chehra waqt ke parde mein chhup gaya
pahchan DhunDte hain ye 'ashiq ghubar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.