Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

milti hai mujhko lazzat us yaad ki chubhan se

Bano Arshad

milti hai mujhko lazzat us yaad ki chubhan se

Bano Arshad

MORE BYBano Arshad

    miltī hai mujh ko lazzat us yaad chubhan se

    ġhurbat meñ aa.e jaise apnā koī vatan se

    guzrā hai shoḳh koī lahrā ke sehn-e-dil se

    ik bhīnī bhīnī ḳhushbū jaatī nahīñ badan se

    duniyā Thokaroñ meñ rakkhā gayā hai jis ko

    aatī hai us ḳhushbū phūloñ ke pairahan se

    kyārī meñ ḳhuun Daalā paudā lagāyā jis ne

    vo nikal gayā hai kāshāna-e-chaman se

    jab ham ne baat chheḌī mahfil huī charāġhāñ

    har shai ne daad māñgī zaḳhmoñ anjuman se

    mahfil meñ aa ga.e haiñ aur suraḳh-rū bhī hoñge

    e.azāz bhī milegā 'bāno' ko husn-e-zan se

    milti hai mujh ko lazzat us yaad ki chubhan se

    ghurbat mein aae jaise apna koi watan se

    guzra hai shoKH koi lahra ke sehn-e-dil se

    ek bhini bhini KHushbu jati nahin badan se

    duniya ki Thokaron mein rakkha gaya hai jis ko

    aati hai us ki KHushbu phulon ke pairahan se

    kyari mein KHun Dala pauda lagaya jis ne

    wo hi nikal gaya hai kashana-e-chaman se

    jab hum ne baat chheDi mahfil hui charaghan

    har shai ne dad mangi zaKHmon ki anjuman se

    mahfil mein aa gae hain aur suraKH-ru bhi honge

    eazaz bhi milega 'bano' ko husn-e-zan se

    Source:

    اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 261)

      • Publisher: کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now