Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

milti hai nazar un se to kho jate hain hum aur

Moghisuddin Fareedi

milti hai nazar un se to kho jate hain hum aur

Moghisuddin Fareedi

MORE BYMoghisuddin Fareedi

    miltī hai nazar un se to kho jaate haiñ ham aur

    manzil ke qarīb aa ke bahakte haiñ qadam aur

    maare hue haiñ kashmakash-e-vahm-o-yaqīñ ke

    TuuTe hue har but se tarāshe haiñ sanam aur

    ye baat samajhte nahīñ hazrat-e-nāseh

    siltā hai agar chaak to khultā hai bharam aur

    tadbīr har naqsh dil-āvez hai lekin

    hai kātib-e-taqdīr andāz-e-raqam aur

    jazbāt pe mohreñ na lagī haiñ na lageñgī

    hotī hai zabāñ band to chaltā hai qalam aur

    shāyad ye sila tark-e-talab hai 'farīdī'

    baḌhtī ga.ī vus.at-e-dāmān-karam aur

    milti hai nazar un se to kho jate hain hum aur

    manzil ke qarib aa ke bahakte hain qadam aur

    mare hue hain kashmakash-e-wahm-o-yaqin ke

    TuTe hue har but se tarashe hain sanam aur

    ye baat samajhte hi nahin hazrat-e-naseh

    silta hai agar chaak to khulta hai bharam aur

    tadbir ka har naqsh dil-awez hai lekin

    hai katib-e-taqdir ka andaz-e-raqam aur

    jazbaat pe mohren na lagi hain na lagengi

    hoti hai zaban band to chalta hai qalam aur

    shayad ye sila tark-e-talab ka hai 'faridi'

    baDhti hi gai wusat-e-daman-karam aur

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 504)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now