Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

milti hai use gauhar-e-shab-tab ki miras

Waliullah Muhib

milti hai use gauhar-e-shab-tab ki miras

Waliullah Muhib

MORE BYWaliullah Muhib

    miltī hai use gauhar-e-shab-tāb mīrās

    mujh dil-e-sad-pāra ne sīmāb mīrās

    hasrat se tirī chashm nargis ne chaman meñ

    paa.ī hai kisī dīda-e-be-ḳhvāb mīrās

    yaañ jo dil-e-raushan ki vo ḳhālī hai ḳhudī se

    pahuñchā.ī falak ne use mahtāb mīrās

    ik bīḌā-e-pāñ haath se apne jo baḳhshe

    tuutī ko mile ġhaib se surḳhāb mīrās

    pasañg haiñ la.al us ke bhī jis sañg ko pahuñche

    ik qatra mire ashk ke ḳhūñbāb mīrās

    ro-ro ke mirī chashm ne is bahr-e-jahāñ se

    ḳhāna-ḳharābī ke liye aab mīrās

    ye dard-o-ġham-e-ishq dilā jaan ġhanīmat

    pahuñchī tirī hub se tujhe ahbāb mīrās

    dariyā-e-mohabbat se 'muhib' le ke chhoḌī

    mujh ashk ne āḳhir dur-e-nāyāb mīrās

    milti hai use gauhar-e-shab-tab ki miras

    li mujh dil-e-sad-para ne simab ki miras

    hasrat se teri chashm ki nargis ne chaman mein

    pai hai kisi dida-e-be-KHwab ki miras

    yan jo dil-e-raushan ki wo KHali hai KHudi se

    pahunchai falak ne use mahtab ki miras

    ek biDa-e-pan hath se tu apne jo baKHshe

    tuti ko mile ghaib se surKHab ki miras

    pasang hain lal us ke bhi jis sang ko pahunche

    ek qatra mere ashk ke KHunbab ki miras

    ro-ro ke meri chashm ne is bahr-e-jahan se

    li KHana-KHarabi ke liye aab ki miras

    ye dard-o-gham-e-ishq dila jaan ghanimat

    pahunchi teri hub se tujhe ahbab ki miras

    dariya-e-mohabbat se 'muhib' le hi ke chhoDi

    mujh ashk ne aaKHir dur-e-nayab ki miras

    Source:

    Deewan-e-Waleeullah Muhib (Pg. e-139 p-138)

    • Author: Waliullah Muhib
      • Edition: 1999
      • Publisher: Sangat Publishers, Lahore
      • Year of Publication: 1999
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now