Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

milti rahi qalam ko saadat ki raushni

Samia Naz

milti rahi qalam ko saadat ki raushni

Samia Naz

MORE BYSamia Naz

    miltī rahī qalam ko sa.ādat raushnī

    dar aa.ī harf harf meñ mid.hat raushnī

    aane se aap ke huiiñ kāfūr zulmateñ

    aalam meñ phailī aap rahmat raushnī

    ġhār-e-hirā meñ le ke jo aa.e the jibra.īl

    sachchā kalām nūr-e-hidāyat raushnī

    tā-hāl ho rahī hai vo barsāt nuur

    lamhe ne paa.ī thī jo ziyārat raushnī

    īsār-o-darguzar sabaq aap ne diyā

    phailā.ī aap ne hai uḳhuvvat raushnī

    aurat ko baḳhshī aap ne aa kar hayāt-e-nau

    us ko milī hai izzat-o-azmat raushnī

    sub.h-o-masā hai 'nāz' bas aarzū yahī

    merī navāh-e-jāñ meñ ho sīrat raushnī

    milti rahi qalam ko saadat ki raushni

    dar aai harf harf mein midhat ki raushni

    aane se aap ke huin kafur zulmaten

    aalam mein phaili aap ki rahmat ki raushni

    ghaar-e-hira mein le ke jo aae the jibrail

    sachcha kalam nur-e-hidayat ki raushni

    ta-haal ho rahi hai wo barsat nur ki

    lamhe ne pai thi jo ziyarat ki raushni

    isar-o-darguzar ka sabaq aap ne diya

    phailai aap ne hai uKHuwwat ki raushni

    aurat ko baKHshi aap ne aa kar hayat-e-nau

    us ko mili hai izzat-o-azmat ki raushni

    subh-o-masa hai 'naz' ki bas aarzu yahi

    meri nawah-e-jaan mein ho sirat ki raushni

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now