jins-e-giran ko tujhse jo log chahte hain
jins-e-girāñ ko tujh se jo log chāhte haiñ
ve rog apne jī ko nāhaq basāhate haiñ
us mai-kade meñ ham bhī muddat se haiñ va-lekin
ḳhamyāza khīñchte haiñ har dam jamāhate haiñ
nāmūs dostī se gardan bañdhī hai apnī
jiite haiñ jab talak ham tab tak nibāhte haiñ
sahl is qadar nahīñ hai mushkil-pasandī merī
jo tujh ko dekhte haiñ mujh ko sarāhte haiñ
ve din ga.e ki rāteñ nāloñ se kāTte the
be-Dol 'mīr'-sāhib ab kuchh karāhte haiñ
jins-e-giran ko tujh se jo log chahte hain
we rog apne ji ko nahaq basahate hain
us mai-kade mein hum bhi muddat se hain wa-lekin
KHamyaza khinchte hain har dam jamahate hain
namus dosti se gardan bandhi hai apni
jite hain jab talak hum tab tak nibahte hain
sahl is qadar nahin hai mushkil-pasandi meri
jo tujh ko dekhte hain mujh ko sarahte hain
we din gae ki raaten nalon se kaTte the
be-Dol 'mir'-sahib ab kuchh karahte hain
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0294
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.