din nahin raat nahin subh nahin sham nahin
din nahīñ raat nahīñ sub.h nahīñ shaam nahīñ
vaqt milne kā magar dāḳhil-e-ayyām nahīñ
misl anqā mujhe tum duur se sun lo varna
nañg-e-hastī huuñ mirī jaa.e ba-juz naam nahīñ
ḳhatar rāh-e-vafā balki bahut duur khiñchā
umr guzrī ki baham nāma-o-paiġhām nahīñ
rāz-poshī-e-mohabbat ke ta.iiñ chāhiye zabt
so to be-tābī-e-dil bin mujhe ārām nahīñ
be-qarārī jo koī dekhe hai so kahtā hai
kuchh to hai 'mīr' ki ik dam tujhe ārām nahīñ
din nahin raat nahin subh nahin sham nahin
waqt milne ka magar daKHil-e-ayyam nahin
misl anqa mujhe tum dur se sun lo warna
nang-e-hasti hun meri jae ba-juz nam nahin
KHatar rah-e-wafa balki bahut dur khincha
umr guzri ki baham nama-o-paigham nahin
raaz-poshi-e-mohabbat ke tain chahiye zabt
so to be-tabi-e-dil bin mujhe aaram nahin
be-qarari jo koi dekhe hai so kahta hai
kuchh to hai 'mir' ki ek dam tujhe aaram nahin
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0360
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.