Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fikr hai mah ke jo shahr-badar karne ki

Meer Taqi Meer

fikr hai mah ke jo shahr-badar karne ki

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    fikr hai maah ke jo shahr-badar karne

    hai sazā tujh pe ye gustāḳh nazar karne

    kah hadīs aane us ke jo kiyā shādī marg

    nāma-bar kyā chalī thī ham ko ḳhabar karne

    kyā jalī jaatī hai ḳhūbī meñ apnī ai sham.a

    kah patañge ke bhī kuchh shām-o-sahar karne

    ab ke barsāt ke zimme thā aalam vabāl

    maiñ to khaa.ī thī qasam chashm ke tar karne

    phuul kuchh lete na nikle the dil-e-sad-pāra

    tarz sīkhī hai mire TukḌe jigar karne

    un dinoñ nikle hai āġhushta ba-ḳhūñ rātoñ ko

    dhun hai naale ko kaso dil meñ asar karne

    ishq meñ tere guzartī nahīñ bin sar paTke

    sūrat ik ye rahī hai umr basar karne

    kārvānī hai jahāñ umr aziiz apnī 'mīr'

    rah hai darpesh sadā us ko safar karne

    fikr hai mah ke jo shahr-badar karne ki

    hai saza tujh pe ye gustaKH nazar karne ki

    kah hadis aane ki us ke jo kiya shadi marg

    nama-bar kya chali thi hum ko KHabar karne ki

    kya jali jati hai KHubi hi mein apni ai shama

    kah patange ke bhi kuchh sham-o-sahar karne ki

    ab ke barsat hi ke zimme tha aalam ka wabaal

    main to khai thi qasam chashm ke tar karne ki

    phul kuchh lete na nikle the dil-e-sad-para

    tarz sikhi hai mere TukDe jigar karne ki

    un dinon nikle hai aaghushta ba-KHun raaton ko

    dhun hai nale ko kaso dil mein asar karne ki

    ishq mein tere guzarti nahin bin sar paTke

    surat ek ye rahi hai umr basar karne ki

    karwani hai jahan umr aziz apni 'mir'

    rah hai darpesh sada us ko safar karne ki

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0444

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now