Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maine jo be-kasana majlis mein jaan khoi

Meer Taqi Meer

maine jo be-kasana majlis mein jaan khoi

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    maiñ ne jo be-kasāna majlis meñ jaan khoī

    sar par mire khaḌī ho shab sham.a zor ravī

    aatī hai sham.a shab ko aage tire ye kah kar

    muñh ga.ī jo loī to kyā karegā koī

    be-tāqatī se aage kuchh pūchhtā bhī thā so

    rone ne har ghaḌī ke vo baat Duboī

    bulbul bekalī ne shab be-dimāġh rakhā

    sone diyā na ham ko zālim na aap soī

    us zulm pesha ye rasm-e-qadīm hai

    ġhairoñ pe mehrbānī yāroñ se kīna-jūī

    naubat jo ham se gaahe aatī hai guftugū

    muñh meñ zabāñ nahīñ hai is bad-zabāñ ke goī

    us mah ke jalve se kuchh 'mīr' yaad deve

    ab ke gharoñ meñ ham ne sab chāñdnī hai boī

    main ne jo be-kasana majlis mein jaan khoi

    sar par mere khaDi ho shab shama zor rawi

    aati hai shama shab ko aage tere ye kah kar

    munh ki gai jo loi to kya karega koi

    be-taqati se aage kuchh puchhta bhi tha so

    rone ne har ghaDi ke wo baat hi Duboi

    bulbul ki bekali ne shab be-dimagh rakha

    sone diya na hum ko zalim na aap soi

    us zulm pesha ki ye rasm-e-qadim hai gi

    ghairon pe mehrbani yaron se kina-jui

    naubat jo hum se gahe aati hai guftugu ki

    munh mein zaban nahin hai is bad-zaban ke goi

    us mah ke jalwe se kuchh ta 'mir' yaad dewe

    ab ke gharon mein hum ne sab chandni hai boi

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0446

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now