Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shash-jihat se isMein zalim bu-e-KHun ki rah hai

Meer Taqi Meer

shash-jihat se isMein zalim bu-e-KHun ki rah hai

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    shash-jihat se is meñ zālim bū-e-ḳhūñ raah hai

    terā kūcha ham se kah kis bismil-gāh hai

    ek nibhne nahīñ mizhgāñ talak bojhal haiñ sab

    kārvāñ laḳht-e-dil-e-har-ashk ke hamrāh hai

    ham javānoñ ko na chhoḌā us se sab pakḌe ga.e

    ye do-sāla duḳhtar-e-raz kis qadar shattāh hai

    pā-barahna ḳhaak sar meñ pareshāñ siina chaak

    haal merā dekhne aa tere dil-ḳhvāh hai

    is junūñ par 'mīr' koī bhī phire hai shahr meñ

    jāda-e-sahrā se kar sāzish jo tujh se raah hai

    shash-jihat se is mein zalim bu-e-KHun ki rah hai

    tera kucha hum se tu kah kis ki bismil-gah hai

    ek nibhne ka nahin mizhgan talak bojhal hain sab

    karwan laKHt-e-dil-e-har-ashk ke hamrah hai

    hum jawanon ko na chhoDa us se sab pakDe gae

    ye do-sala duKHtar-e-raz kis qadar shattah hai

    pa-barahna KHak sar mein mu pareshan sina chaak

    haal mera dekhne aa tere hi dil-KHwah hai

    is junun par 'mir' koi bhi phire hai shahr mein

    jada-e-sahra se kar sazish jo tujh se rah hai

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0528

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now