Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qarar dil ka ye kahe ko Dhang tha aage

Meer Taqi Meer

qarar dil ka ye kahe ko Dhang tha aage

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    qarār dil ye kaahe ko Dhañg thā aage

    hamāre chehre ke uupar bhī rañg thā aage

    uThā.eñ tere liye bad-zabāniyāñ un

    jinhoñ ham ko ḳhushāmad se nañg thā aage

    hamārī aahoñ se siine pe ho gayā bāzār

    har ek zaḳhm kūcha jo tañg thā aage

    rahā thā sham.a se majlis meñ dosh kitnā farq

    ki jal bujhe the ye ham par patañg thā aage

    kiyā ḳharāb taġhāful ne us ke varna 'mīr'

    har ek baat pe dushnām-o-sañg thā aage

    qarar dil ka ye kahe ko Dhang tha aage

    hamare chehre ke upar bhi rang tha aage

    uThaen tere liye bad-zabaniyan un ki

    jinhon ki hum ko KHushamad se nang tha aage

    hamari aahon se sine pe ho gaya bazar

    har ek zaKHm ka kucha jo tang tha aage

    raha tha shama se majlis mein dosh kitna farq

    ki jal bujhe the ye hum par patang tha aage

    kiya KHarab taghaful ne us ke warna 'mir'

    har ek baat pe dushnam-o-sang tha aage

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0532

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now