Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tang aae hain dil us ji se uTha baiThenge

Meer Taqi Meer

tang aae hain dil us ji se uTha baiThenge

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    tañg aa.e haiñ dil us se uThā baiTheñge

    bhūkoñ marte haiñ kuchh ab yaar bhī khā baiTheñge

    ab ke bigḌegī agar un se to is shahr se

    kaso vīrāne meñ takiya banā baiTheñge

    ma.arka garm to Tak hone do ḳhūñ-rezī

    pahle talvār ke nīche hamīñ baiTheñge

    hogā aisā bhī koī roz ki majlis se kabhū

    ham to ek-ādh ghaḌī uTh ke judā baiTheñge

    na iz.hār-e-mohabbat pe havasnākoñ

    vaqt ke vaqt ye sab muñh ko chhupā baiTheñge

    dekheñ vo ġhairat-e-ḳhurshīd kahāñ jaatā hai

    ab sar-e-rāh dam-e-sub.h se aa baiTheñge

    bhiiḌ Taltī nahīñ aage se us zālim ke

    gardaneñ yaar kisī roz kaTā baiTheñge

    kab talak galiyoñ meñ saudā.ī se phirte rahiye

    dil ko us zulf-e-musalsal se lagā baiTheñge

    sho.ala-afshāñ agar aisī rahī aah to 'mīr'

    ghar ko ham apne kaso raat jalā baiTheñge

    tang aae hain dil us ji se uTha baiThenge

    bhukon marte hain kuchh ab yar bhi kha baiThenge

    ab ke bigDegi agar un se to is shahr se ja

    kaso virane mein takiya hi bana baiThenge

    marka garm to Tak hone do KHun-rezi ka

    pahle talwar ke niche hamin ja baiThenge

    hoga aisa bhi koi roz ki majlis se kabhu

    hum to ek-adh ghaDi uTh ke juda baiThenge

    ja na izhaar-e-mohabbat pe hawasnakon ki

    waqt ke waqt ye sab munh ko chhupa baiThenge

    dekhen wo ghairat-e-KHurshid kahan jata hai

    ab sar-e-rah dam-e-subh se aa baiThenge

    bhiD Talti hi nahin aage se us zalim ke

    gardanen yar kisi roz kaTa baiThenge

    kab talak galiyon mein saudai se phirte rahiye

    dil ko us zulf-e-musalsal se laga baiThenge

    shoala-afshan agar aisi hi rahi aah to 'mir'

    ghar ko hum apne kaso raat jala baiThenge

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0534

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now