dekhega jo tujh ro ko so hairan rahega
dekhegā jo tujh ro ko so hairān rahegā
vābasta tire mū kā pareshān rahegā
va.ada to kiyā is se dam-e-sub.h kā lekin
us dam ta.iiñ mujh meñ bhī agar jaan rahegā
mun.im ne banā zulm kī rakh ghar to banāyā
par aap koī raat hī mehmān rahegā
chhūTūñ kahīñ iizā se lagā ek hī jallād
tā-hashr mire sar pe ye ehsān rahegā
chimTe raheñge dasht-e-mohabbat meñ sar-o-teġh
mahshar ta.iiñ ḳhālī na ye maidān rahegā
jaane kā nahīñ shor suḳhan kā mire hargiz
tā-hashr jahāñ meñ mirā dīvān rahegā
dil dene kī aisī harakat un ne nahīñ kī
jab tak jiyegā 'mīr' pashemān rahegā
dekhega jo tujh ro ko so hairan rahega
wabasta tere mu ka pareshan rahega
wada to kiya is se dam-e-subh ka lekin
us dam tain mujh mein bhi agar jaan rahega
munim ne bana zulm ki rakh ghar to banaya
par aap koi raat hi mehman rahega
chhuTun kahin iza se laga ek hi jallad
ta-hashr mere sar pe ye ehsan rahega
chimTe rahenge dasht-e-mohabbat mein sar-o-tegh
mahshar tain KHali na ye maidan rahega
jaane ka nahin shor suKHan ka mere hargiz
ta-hashr jahan mein mera diwan rahega
dil dene ki aisi harakat un ne nahin ki
jab tak jiyega 'mir' pasheman rahega
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.