Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghaalib ki ye dil-KHasta shab-e-hijr mein mar jae

Meer Taqi Meer

ghaalib ki ye dil-KHasta shab-e-hijr mein mar jae

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    ġhālib ki ye dil-ḳhasta shab-e-hijr meñ mar jaa.e

    ye raat nahīñ vo jo kahānī meñ guzar jaa.e

    hai turfa mufattin-nigah us ā.ina-rū

    ik pal meñ kare saiñkaḌoñ ḳhuuñ aur mukar jaa.e

    ne but-kada hai manzil-e-maqsūd na ka.aba

    jo koī talāshī ho tirā aah kidhar jaa.e

    har sub.h to ḳhurshīd tire muñh pe chaḌhe hai

    aisā na ho ye saada kahīñ se utar jaa.e

    yāqūt koī un ko kahe hai koī gul-barg

    Tuk hoñT hilā bhī ki ik baat Thahar jaa.e

    ham taaza shahīdoñ ko na aa dekhne nāzāñ

    dāman tirī zah kahīñ lohū meñ na bhar jaa.e

    girye ko mire dekh Tuk ik shahr ke bāhar

    ik sat.h hai paanī jahāñ tak ki nazar jaa.e

    mat baiTh bahut ishq ke āzurda diloñ meñ

    naala kasū mazlūm tāsīr na kar jaa.e

    is varte se taḳhta jo koī pahuñche kināre

    to 'mīr' vatan mere bhī shāyad ye ḳhabar jaa.e

    ghaalib ki ye dil-KHasta shab-e-hijr mein mar jae

    ye raat nahin wo jo kahani mein guzar jae

    hai turfa mufattin-nigah us aaina-ru ki

    ek pal mein kare sainkaDon KHun aur mukar jae

    ne but-kada hai manzil-e-maqsud na kaba

    jo koi talashi ho tera aah kidhar jae

    har subh to KHurshid tere munh pe chaDhe hai

    aisa na ho ye sada kahin ji se utar jae

    yaqut koi un ko kahe hai koi gul-barg

    Tuk honT hila tu bhi ki ek baat Thahar jae

    hum taza shahidon ko na aa dekhne nazan

    daman ki teri zah kahin lohu mein na bhar jae

    girye ko mere dekh Tuk ek shahr ke bahar

    ek sath hai pani ka jahan tak ki nazar jae

    mat baiTh bahut ishq ke aazurda dilon mein

    nala kasu mazlum ka tasir na kar jae

    is warte se taKHta jo koi pahunche kinare

    to 'mir' watan mere bhi shayad ye KHabar jae

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0552

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now