Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taDapna bhi dekha na bismil ka apne

Meer Taqi Meer

taDapna bhi dekha na bismil ka apne

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    taḌapnā bhī dekhā na bismil apne

    maiñ kushta huuñ andāz-e-qātil apne

    na pūchho ki ahvāl nā-gufta-bah hai

    musībat ke maare hue dil apne

    dil-e-zaḳhm-ḳhurda ke aur ik lagā.ī

    mudāvā kyā ḳhuub ghāyal apne

    jo ḳhosha thā sad ḳhirman-e-barq thā yaañ

    jalāyā huā huuñ maiñ hāsil apne

    Tak abrū ko merī taraf kiije maa.il

    kabhū dil bhī rakh liije maa.il apne

    huā daftar-e-qais āḳhir abhī yaañ

    suḳhan hai junūñ ke avā.el apne

    binā.eñ rakhīñ maiñ ne aalam meñ kyā kyā

    huuñ banda ḳhayālāt-e-bātil apne

    maqām-e-fanā vāqiye meñ jo dekhā

    asar bhī na thā gor manzil apne

    taDapna bhi dekha na bismil ka apne

    main kushta hun andaz-e-qatil ka apne

    na puchho ki ahwal na-gufta-bah hai

    musibat ke mare hue dil ka apne

    dil-e-zaKHm-KHurda ke aur ek lagai

    mudawa kya KHub ghayal ka apne

    jo KHosha tha sad KHirman-e-barq tha yan

    jalaya hua hun main hasil ka apne

    Tak abru ko meri taraf kije mail

    kabhu dil bhi rakh lije mail ka apne

    hua daftar-e-qais aaKHir abhi yan

    suKHan hai junun ke awael ka apne

    binaen rakhin main ne aalam mein kya kya

    hun banda KHayalat-e-baatil ka apne

    maqam-e-fana waqiye mein jo dekha

    asar bhi na tha gor manzil ka apne

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0556

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now