Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHanjar-ba-kaf wo jab se saffak ho gaya hai

Meer Taqi Meer

KHanjar-ba-kaf wo jab se saffak ho gaya hai

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    ḳhanjar-ba-kaf vo jab se saffāk ho gayā hai

    mulk in sitam-zadoñ sab paak ho gayā hai

    jis se use lagā.ūñ rūkhā ho mile hai

    siine meñ jal kar az-bas dil ḳhaak ho gayā hai

    kyā jānoñ lazzat-e-dard us jarāhatoñ

    ye jānoñ huuñ ki siina sab chaak ho gayā hai

    sohbat se is jahāñ koī ḳhalās hogā

    is fāhisha pe sab ko imsāk ho gayā hai

    dīvār kohna hai ye mat baiTh us ke saa.e

    uTh chal ki āsmāñ to vaak ho gayā hai

    sharm-o-hayā kahāñ har baat par hai shamshīr

    ab to bahut vo ham se bebāk ho gayā hai

    har harf bas-ki royā hai haal par hamāre

    qāsid ke haath meñ ḳhat namnāk ho gayā hai

    zer-e-falak bhalā to rove hai aap ko 'mīr'

    kis kis tarah aalam yaañ ḳhaak ho gayā hai

    KHanjar-ba-kaf wo jab se saffak ho gaya hai

    mulk in sitam-zadon ka sab pak ho gaya hai

    jis se use lagaun rukha hi ho mile hai

    sine mein jal kar az-bas dil KHak ho gaya hai

    kya jaanon lazzat-e-dard us ki jarahaton ki

    ye jaanon hun ki sina sab chaak ho gaya hai

    sohbat se is jahan ki koi KHalas hoga

    is fahisha pe sab ko imsak ho gaya hai

    diwar kohna hai ye mat baiTh us ke sae

    uTh chal ki aasman to ka wak ho gaya hai

    sharm-o-haya kahan ki har baat par hai shamshir

    ab to bahut wo hum se bebak ho gaya hai

    har harf bas-ki roya hai haal par hamare

    qasid ke hath mein KHat namnak ho gaya hai

    zer-e-falak bhala to rowe hai aap ko 'mir'

    kis kis tarah ka aalam yan KHak ho gaya hai

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0603
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now