shab tha nalan aziz koi tha
shab thā nālāñ aziiz koī thā
murġh-e-ḳhush-ḳhvāñ aziiz koī thā
thī tumhāre sitam kī taab us tak
sabr jo yaañ aziiz koī thā
shab ko us kā ḳhayāl thā dil meñ
ghar meñ mehmāñ aziiz koī thā
chaah bejā na thī zuleḳhā kī
māh-e-kan.āñ aziiz koī thā
ab to us kī galī meñ ḳhaar hai lek
'mīr' be-jāñ aziiz koī thā
shab tha nalan aziz koi tha
murgh-e-KHush-KHwan aziz koi tha
thi tumhaare sitam ki tab us tak
sabr jo yan aziz koi tha
shab ko us ka KHayal tha dil mein
ghar mein mehman aziz koi tha
chah beja na thi zuleKHa ki
mah-e-kanan aziz koi tha
ab to us ki gali mein KHar hai lek
'mir' be-jaan aziz koi tha
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0059
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.