Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-o-dimagh hai ab kis ko zindagani ka

Meer Taqi Meer

dil-o-dimagh hai ab kis ko zindagani ka

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    dil-o-dimāġh hai ab kis ko zindagānī

    jo koī dam hai to afsos hai javānī

    agarche umr ke das din ye lab rahe ḳhāmosh

    suḳhan rahegā sadā merī kam-zabānī

    subuk hai aave jo mindīl rakh namāz ko shaiḳh

    rahā hai kaun ab vaqt sargirānī

    hazār jaan se qurbān be-parī ke haiñ

    ḳhayāl bhī kabhū guzrā na par-fishānī

    phire hai khīñche talvār mujh pe har-dam to

    ki said huuñ maiñ tirī dushmanī jaanī

    numūd kar ke vahīñ bahr-e-ġham meñ baiTh gayā

    kahe to 'mīr' bhī ik bulbulā thā paanī

    dil-o-dimagh hai ab kis ko zindagani ka

    jo koi dam hai to afsos hai jawani ka

    agarche umr ke das din ye lab rahe KHamosh

    suKHan rahega sada meri kam-zabani ka

    subuk hai aawe jo mindil rakh namaz ko shaiKH

    raha hai kaun sa ab waqt sargirani ka

    hazar jaan se qurban be-pari ke hain

    KHayal bhi kabhu guzra na par-fishani ka

    phire hai khinche hi talwar mujh pe har-dam to

    ki said hun main teri dushmani jaani ka

    numud kar ke wahin bahr-e-gham mein baiTh gaya

    kahe to 'mir' bhi ek bulbula tha pani ka

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0063

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now