Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhala hoga kuchh ek ahwal us se ya bura hoga

Meer Taqi Meer

bhala hoga kuchh ek ahwal us se ya bura hoga

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    bhalā hogā kuchh ik ahvāl us se burā hogā

    ma.aal apnā tire ġham meñ ḳhudā jaane ki kyā hogā

    tafahhus fā.eda nāseh tadāruk tujh se kyā hogā

    vahī pāvegā merā dard-e-dil jis lagā hogā

    kaso ko shauq yārab besh us se aur kyā hogā

    qalam haath aa ga.ī hogī to sau sau ḳhat likhā hogā

    dukāneñ husn aage tire taḳhta huī hoñgī

    jo bāzār meñ hogā to yūsuf kab bikā hogā

    ma.īshat ham faqīroñ iḳhvān-e-zamāñ se kar

    koī gaalī bhī de to kah bhalā bhaa.ī bhalā hogā

    ḳhayāl us bevafā ham-nashīñ itnā nahīñ achchhā

    gumāñ rakhte the ham bhī ye ki ham se āshnā hogā

    qayāmat kar ke ab ta.abīr jis ko kartī hai ḳhilqat

    vo us kūche meñ ik āshob shāyad huā hogā

    ajab kyā hai halāk ishq meñ farhād-o-majnūñ ke

    mohabbat rog hai koī ki kam us se jiyā hogā

    na ho kyuuñ ġhairat-e-gul-zār vo kūcha ḳhudā jaane

    lahū is ḳhaak par kin kin azīzoñ girā hogā

    bahut ham-sā.e is gulshan ke zanjīrī rahā huuñ maiñ

    kabhū tum ne bhī merā shor nāloñ sunā hogā

    nahīñ juz arsh jaagā raah meñ lene ko dam us ke

    qafas se tan ke murġh-e-rūh merā jab rahā hogā

    kahīñ haiñ 'mīr' ko maarā gayā shab us ke kūche meñ

    kahīñ vahshat meñ shāyad baiThe baiThe uTh gayā hogā

    bhala hoga kuchh ek ahwal us se ya bura hoga

    maal apna tere gham mein KHuda jaane ki kya hoga

    tafahhus faeda naseh tadaruk tujh se kya hoga

    wahi pawega mera dard-e-dil jis ka laga hoga

    kaso ko shauq yarab besh us se aur kya hoga

    qalam hath aa gai hogi to sau sau KHat likha hoga

    dukanen husn ki aage tere taKHta hui hongi

    jo tu bazar mein hoga to yusuf kab bika hoga

    maishat hum faqiron ki si iKHwan-e-zaman se kar

    koi gali bhi de to kah bhala bhai bhala hoga

    KHayal us bewafa ka ham-nashin itna nahin achchha

    guman rakhte the hum bhi ye ki hum se aashna hoga

    qayamat kar ke ab tabir jis ko karti hai KHilqat

    wo us kuche mein ek aashob sa shayad hua hoga

    ajab kya hai halak ishq mein farhad-o-majnun ke

    mohabbat rog hai koi ki kam us se jiya hoga

    na ho kyun ghairat-e-gul-zar wo kucha KHuda jaane

    lahu is KHak par kin kin azizon ka gira hoga

    bahut ham-sae is gulshan ke zanjiri raha hun main

    kabhu tum ne bhi mera shor nalon ka suna hoga

    nahin juz arsh jaga rah mein lene ko dam us ke

    qafas se tan ke murgh-e-ruh mera jab raha hoga

    kahin hain 'mir' ko mara gaya shab us ke kuche mein

    kahin wahshat mein shayad baiThe baiThe uTh gaya hoga

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0089

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now