Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai haal jae girya-e-jaan par aarzu ka

Meer Taqi Meer

hai haal jae girya-e-jaan par aarzu ka

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    hai haal jaa.e giryā-e-jāñ par aarzū

    ro.e na ham kabhū Tak dāman pakaḌ kaso

    jaatī nahīñ uThā.ī apne pe ye ḳhushūnat

    ab rah gayā hai aanā merā kabhū kabhū

    us āstāñ se kis din pur-shor sar na paTkā

    us galī meñ kar kis raat maiñ na kuukā

    shāyad ki muñd ga.ī hai qamrī chashm-e-giryāñ

    kuchh TuuT chalā hai paanī chaman

    apne taḌapne to tadbīr pahle kar luuñ

    tab fikr maiñ karūñgā zaḳhmoñ ke bhī rafū

    dāñtoñ nazm us ke hañsne meñ jin ne dekhī

    phir motiyoñ laḌ par un ne kabhū na thūkā

    ye aish-gā nahīñ hai yaañ rañg aur kuchh hai

    har gul hai is chaman meñ sāġhar bharā lahū

    bulbul ġhazal-sarā.ī aage hamāre mat kar

    sab ham se sīkhte haiñ andāz guftugū

    galiyāñ bharī paḌī haiñ ai baad zaḳhmiyoñ se

    mat khol pech zālim us zulf-e-mushk-bū

    ve pahlī iltifāteñ saarī fareb niklīñ

    denā na thā dil us ko maiñ 'mīr' aah chaukā

    hai haal jae girya-e-jaan par aarzu ka

    roe na hum kabhu Tak daman pakaD kaso ka

    jati nahin uThai apne pe ye KHushunat

    ab rah gaya hai aana mera kabhu kabhu ka

    us aastan se kis din pur-shor sar na paTka

    us ki gali mein ja kar kis raat main na kuka

    shayad ki mund gai hai qamri ki chashm-e-giryan

    kuchh TuT sa chala hai pani chaman ki ju ka

    apne taDapne ki to tadbir pahle kar lun

    tab fikr main karunga zaKHmon ke bhi rafu ka

    danton ki nazm us ke hansne mein jin ne dekhi

    phir motiyon ki laD par un ne kabhu na thuka

    ye aish-ga nahin hai yan rang aur kuchh hai

    har gul hai is chaman mein saghar bhara lahu ka

    bulbul ghazal-sarai aage hamare mat kar

    sab hum se sikhte hain andaz guftugu ka

    galiyan bhari paDi hain ai baad zaKHmiyon se

    mat khol pech zalim us zulf-e-mushk-bu ka

    we pahli iltifaten sari fareb niklin

    dena na tha dil us ko main 'mir' aah chauka

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0092
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now