Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

paigham gham-e-jigar ka gulzar tak na pahuncha

Meer Taqi Meer

paigham gham-e-jigar ka gulzar tak na pahuncha

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    paiġhām ġham-e-jigar gulzār tak na pahuñchā

    naala mirā chaman dīvār tak na pahuñchā

    us ā.īne ke mānind zañgār jis ko khāve

    kaam apnā us ke ġham meñ dīdār tak na pahuñchā

    joñ naqsh-e-pā hai ġhurbat hairān-kār us

    āvāra ho vatan se jo yaar tak na pahuñchā

    labrez shikva the ham lekin huzūr tere

    kār-e-shikāyat apnā guftār tak na pahuñchā

    le chashm-e-nam-rasīdd paanī chuvāne koī

    vaqt-e-aḳhīr us ke bīmār tak na pahuñchā

    ye baḳhte--sabz dekho bāġh-e-zamāna meñ se

    pazhmurda gul bhī apnī dastār tak na pahuñchā

    mastūrī ḳhūb-rūī donoñ na jam.a hoveñ

    ḳhūbī kaam kis iz.hār tak na pahuñchā

    yūsuf se le ke tā-gul phir gul se le ke tā-shamma

    ye husn kis ko le kar bāzār tak na pahuñchā

    afsos 'mīr' ve jo hone shahīd aa.e

    phir kaam un us talvār tak na pahuñchā

    paigham gham-e-jigar ka gulzar tak na pahuncha

    nala mera chaman ki diwar tak na pahuncha

    us aaine ke manind zangar jis ko khawe

    kaam apna us ke gham mein didar tak na pahuncha

    jon naqsh-e-pa hai ghurbat hairan-kar us ki

    aawara ho watan se jo yar tak na pahuncha

    labrez shikwa the hum lekin huzur tere

    kar-e-shikayat apna guftar tak na pahuncha

    le chashm-e-nam-rasidd pani chuwane koi

    waqt-e-aKHir us ke bimar tak na pahuncha

    ye baKHte--sabz dekho bagh-e-zamana mein se

    pazhmurda gul bhi apni dastar tak na pahuncha

    masturi KHub-rui donon na jama howen

    KHubi ka kaam kis ki izhaar tak na pahuncha

    yusuf se le ke ta-gul phir gul se le ke ta-shamma

    ye husn kis ko le kar bazar tak na pahuncha

    afsos 'mir' we jo hone shahid aae

    phir kaam un ka us ki talwar tak na pahuncha

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0096

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now