Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

juda jo pahlu se wo dilbar yagana hua

Meer Taqi Meer

juda jo pahlu se wo dilbar yagana hua

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    judā jo pahlū se vo dilbar yagāna huā

    tapish yaañ ta.iiñ dil ne ki dard shāna huā

    jahāñ ko fitne se ḳhālī kabhū nahīñ paayā

    hamāre vaqt meñ to aafat zamāna huā

    ḳhalish nahīñ kaso ḳhvāhish raat se shāyad

    sarishk-e-yās ke parde meñ dil ravāna huā

    ham apne dil chale dil meñ liye yaañ se

    hazār haif sar-e-harf us se na huā

    khulā nashe meñ jo pagḌī pech us 'mīr'

    samand-e-nāz pe ek aur tāziyāna huā

    juda jo pahlu se wo dilbar yagana hua

    tapish ki yan tain dil ne ki dard shana hua

    jahan ko fitne se KHali kabhu nahin paya

    hamare waqt mein to aafat zamana hua

    KHalish nahin kaso KHwahish ki raat se shayad

    sarishk-e-yas ke parde mein dil rawana hua

    hum apne dil ki chale dil hi mein liye yan se

    hazar haif sar-e-harf us se wa na hua

    khula nashe mein jo pagDi ka pech us ki 'mir'

    samand-e-naz pe ek aur taziyana hua

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0114

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now